Thursday, March 22, 2012

Jeena Isi ka Naam Hai ...!!!


Is Duniya main,
Tum tum ho to kya tum ho
Hum hum hai to kya hum hai
Ye jo hai zindgani hamari
Kabhi Khusi to Kabhi Gam Hai.

 Is Duniya main,
Tum tum ho to kya tum ho
Hum hum hai to kya hum hai
Ye jo hai zindgani hamari
Kabhi Khusi to Kabhi Gam Hai.

Is Srusti mein Samay sabse Balwan Hai
Kal hum chhote the to aaj hum jawan hai
Paribartan to Samay ka adhin hai
Yahi to hai Bhagban ki maya
Jo samjhpaya wahi asli insaan hai.

Paisa, sakti aur Yoban Ghamand ka karan hai
Har insaan ko inka durupyog se baran hai
Lekin Insaan samay ki hat ka Katputli hai
Lov, Moha, Maya main dub jata hai ye Insaan
Ye jaante hue bhi ki wo sab Nakli hai.

Jo Insaan dusre insaan ko dekh nahin sakta
Wo Bhagban ko kya dekh payega
Jiski Niyat mein Sachhai na ho
Aur jiski karma mein achhai na ho
Wo sirf Paise ko hin Bhagabn man jayega.

Paise ko Bhagban man ne wala
Har din dukh kamayega
Us ke liye khusi to do pal ki hogi
Kyon ki paisa to aaj uska hai kal aur kisika ho jayega.

Samay Samapt hone par Sabko jaana hi hota hai
Koi paisa, yoban ya sakti kaam mein nahi aata hai
Ye baat Insaan tab samjhta hai
Jab us se uska jivan chin jana hota hai.

Jo Insaan Insaniyat ko samjhta hai
Jo Bhagaban ki duniya ki Adar karta hai
Jo apni Kartabya ko hi apna dharma samjhta hai
Jo sirf ache karma karte hue apni jivan samapt karta hai
Wo hi Insaan Bhagban ki Charan meni lin ho jata hai.

Mata Pita ka ashirwad to Bhagban ka Bardan Hai
Sukh aur dukh ke saath to jivan ka nirman hai
Aaj rona to kal Hasi hai
Yahi to insaan ka inam hai …
Mano ya na mano mere dost
Jeena Isi ka naam hai…!!!

Keep Smiling.
Mahaprasad Mishra.

New Blog Page Created (https://immahaprasad.wordpress.com/)

I have created a new blog page which will have new posts.  You may pls visit my new blog for updates ! URL : https://immahaprasad.wordp...