Monday, July 2, 2012

Aaj phir dil bachpan mein laut jaana chahta hai …


Aaj phir dil bachpan mein laut jaana chahta hai …
Wo gaon ki gali mein gum ho jaana chahta hai
Wo basrish ki buundo mein bhigna chahta hai
Aaj phir dil bachpan mein laut jaana chahta hai.

Wo Bachpan ka waqt bahut yaad aata hai
Wo subhe subhe Maa ka hume school ke liya tayar karna
Wo school na jane ki jid karna aaur
Pitaji ki mar kii dar se school jana,
yaad aata hai
Aaj phir dil bachpan mein laut jaana chahta hai.

School ki break mein wo khatti meethi achar khana
Doston ke saath tiffin share karna
Wo Maths teacher ka padhai na karna ke maar
yaad ata hai
Aaj phir dil bachpan mein laut jaana chahta hai.

Wo school khatam hone par daud ke aana
Cricket Khelna,
doosre ke bagiche main ghuske aam todna; Aaur pakda jana,
phir jhoot moot ka rona
Yaad aata hai
Aaj phir dil bachpan mein laut jaana chahta hai.

Wo shyam mein ghar ko lautna
Parivar ke saath prathna karna
Phir sabse difficult, TV chodke padahi karna
Raat ka wo Suraag, Shaktimaan dekhna
Yaad Aata hai
Aaj phir dil bachpan mein laut jaana chahta hai.

Wo Sunday ka din aana
Subhe der se uthna,
Maa Ka Haath ka kuchh Special Khana
Chandrakanta dekhna
Yaad Aata hai
Aaj phir dil bachpan mein laut jaana chahta hai.

Wo Barish ke dino mein doston ke saath chai peena
Sadak ke bich mein gappe marna
School bunk kar ke picture dekhne jaana
Barish ki wo pehli boondon Se Meeti se nikli wo mehek
Yaad Aata hai
Aaj phir dil bachpan mein laut jaana chahta hai.

Aaj sayad humare paas sab kuchh hai
Lekin wo waqt nahin, wo purane din nahin
Aaj pitaji ki dant to nahin lekin Boss ki hai
Maa ka sabd jaise serial mein dab sa gaya hai
Mahine gujar gaye ghar gaye hue
Wo purana din Bahut Yaad Aata hai
Aaj phir dil bachpan mein laut jaana chahta hai.

Wo doston ka pyaar jaise kam sa ho gaya hai
Aaj dost kam competitor jayada milne lage hai
Wo dosti jaise wahi purani gali mein kho gayi hai
Wo purana din Bahut Yaad Aata hai
Aaj phir dil bachpan mein laut jaana chahta hai.

Saayad ise padh ke
Aap ko bhi Bachpan ki wo kuchh lamhe yaad aane laga hai
Na to kabhi ho hi nahi sakta
Kyon Ke Mujhe pata hai…
Aap ko bhi yaad aata hai
Aaur aapka dil bachpan mein laut jaana chahta hai.

May The Lord Bless You…!!!
Stay Happy.


Mahaprasad Mishra.

New Blog Page Created (https://immahaprasad.wordpress.com/)

I have created a new blog page which will have new posts.  You may pls visit my new blog for updates ! URL : https://immahaprasad.wordp...